Jai Jagadish Hare Aarti::
Om Jai Jagdish Hare,
Swami Jaya Jagdish Hare,
Bhakta janon ke sankat (2),
Kshan me door kar,
Om Jai Jagdish Hare,
Jo dhyave phal paave,
Dhukh vinashe man ka,
Swami dhukh vinashe man ka,
Sukh sampati Ghar aave (2),
Kashht mite tan ka,
Om Jai Jagdish Hare,
Mata pita tum mere,
Sharan padun mai kis ki,
Swami sharan padun mai kis ki,
Tum bina aur na dooja (2),
Asha karun mai kis ki,
Om Jai Jagdish Hare,
Tum puran paramatma,
Tum Antaryami,
Swami Tum Antaryaami,
Para Brahma Parameshwara (2),
Tum sab ke Swami,
Om Jai Jagdish Hare,
Tum karuna ke saagar,
Tum palan karta,
Swami Tum palan karta,
Mai sevak tum swaami (2),
Kripa karo bharta,
Om Jai Jagdish Hare,
Tum ho ek agochar,
Sab ke pran pati,
Swami sab ke prana pati,
Kis vidhi milun dayamaya (2),
Tum ko mai kumati,
Om Jai Jagdish Hare,
Deena bandhu dukh hartaa,
Tum rakshak mere,
Swami tum rakshak mere,
Apne hast uthao (2),
Dwar khada mai tere,
Om Jai Jagdish Hare,
Vishaya vikar mithao,
Paap haro deva,
Swami paap haro deva,
Shraddha bhakti badhao (2),
Santan ki seva,
Om Jai Jagdish Hare,